shagufta ho ke baiThe the wo apne be-qararon mein
taDap bijli ki paida ho gai phulon ke haaron mein
kiya andher apne ranj ne un ki kudurat ne
bujhi sham-e-mohabbat hae do dil ke ghubaron mein
shab-e-furqat ko zahid se siwa mar-mar ke kaTa hai
kare mashhur hum ko bhi KHuda shab-zinda-daron mein
ye kis ne kushta-e-tegh-e-tabassum kar diya mujh ko
mubarakbaad ka ghul ho raha hai sogwaron mein
wo ishrat jis ka sab saman hai dil mein ho nahin sakti
meri majburiyon ko dekhiye un iKHtiyaron mein
hamein wo Dhab jo aa jata tumhin par aazmate hum
dil-e-ushshaq tum kya kah ke lete ho ishaaron mein
'safir' ab bas karo kab tak sar-e-shorida zanu par
ghazal ki fikr kyun kar ho sakegi intishaaron mein
Ghazal
Shagufta ho ke baiThe the wo apne be-qararon mein
Syed Farzand Ahmad Safeer