shagufta bachchon ka chehra dikhai dene lage
main kya karun ki ujala dikhai dene lage
ye saKHt zulm hai malik ki subh hote hi
tamam ghar mein andhera dikhai dene lage
wo sirf main hun jo sau jannaten saja kar bhi
udas udas sa tanha dikhai dene lage
main kaamyab jabhi hunga ai rubab-e-hayat
ki bazm ko tera naghma dikhai dene lage
gulab ugane ki aadat se faeda kya hai
agar gulab mein shoala dikhai dene lage
mera hi aks sahi phir bhi wo farishta hai
jo ghair ho ke bhi apna dikhai dene lage
bahut alil ho lekin ye buz-dili hai 'salam'
ki tum ko maut ka saya dikhai dene lage

Ghazal
Shagufta bachchon ka chehra dikhai dene lage
Salam Machhli shahri