اردو हिंदी
Shaguft-e-gul ki sada mein rang-e-chaman mein aao | Shaahi Shayari
shaguft-e-gul ki sada mein rang-e-chaman mein aao

Ghazal

Shaguft-e-gul ki sada mein rang-e-chaman mein aao

Ahmad Faraz

;

shaguft-e-gul ki sada mein rang-e-chaman mein aao
koi bhi rut ho bahaar ke pairahan mein aao

koi safar ho tumhin ko manzil samajh ke jaun
koi masafat ho tum meri hi lagan mein aao

kabhi to aisa bhi ho ki logon ki baat sun kar
meri taraf tum raqabaton ki jalan mein aao

wo jis ghurur aur naz se tum chale gae the
kabhi usi tamkanat usi bankpan mein aao

ye kyun hamesha meri talab hi tumhein sada de
kabhi to KHud bhi supurdagi ki thakan mein aao

hazar muflis sahi magar hum saKHi bala ke
kabhi to tum ahl-e-dard ki anjuman mein aao

hum ahl-e-dil hain hamari aqlim harf ki hai
kabhi to jaan-e-suKHan dayar-e-suKHan mein aao

kabhi kabhi duriyon se koi pukarta hai
'faraaz' jaani 'faraaz' pyare watan mein aao