اردو हिंदी
Shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai | Shaahi Shayari
shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai

Ghazal

Shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai

Zubair Rizvi

;

shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai
har ek nigah ka mahwar dikhai deta hai

udhar khuli koi khiDki na koi darwaza
jahan se aag ka manzar dikhai deta hai

chalo ki nili fazaon mein baadban kholen
safar-nawaz samundar dikhai deta hai

kaTe to kaise ye andhi rifaqaton ka safar
na koi chehra na manzar dikhai deta hai

nazar na aae to sau wahm dil mein aate hain
wo ek shaKHs jo aksar dikhai deta hai

paDe hain band sabhi zine un chhaton ke 'zubair'
jahan jahan se tera ghar dikhai deta hai