shafaq ka rang ka KHushbu ka KHwab tha main bhi
parae hath mein koi gulab tha main bhi
na jaane kitne zamane mere wajud mein the
KHud apni zat mein ek inqalab tha main bhi
kahaniyan to bahut thin magar likhi na gain
kisi ke hath mein sada kitab tha main bhi
na jaane kyun nazar-andaz kar diya mujh ko
jahan pe tum the wahin dastiyab tha main bhi
andhere bone ka un ko junun tha jaise
chamak mein apni jagah aaftab tha main bhi
tumhi nahin the samundar ke paniyon ki tarah
kabhi sukun kabhi iztirab tha main bhi
na puchho kitna maza guftugu mein aaya hai
zahin wo bhi tha hazir-jawab tha main bhi
Ghazal
Shafaq ka rang ka KHushbu ka KHwab tha main bhi
Nusrat Gwaliari