shafaq bhi KHun ki bauchhaar si hai
ye surKHi shahr ke aKHbar si hai
kaTile hain tere lafz-o-bayan sab
qalam KHanjar zaban talwar si hai
kisi bhi chiz mein lagta nahin dil
tabiat bin tere bezar si hai
tum apne rup se KHud aaina ho
tumhaare ru-ba-ru kyun aarsi hai
ye sari qurbaten rasmi hain yani
dilon ke darmiyan diwar si hai
jo hum KHud ko muhajir man bhi len
to kis ki haisiyat ansar si hai
yahan logon ne likh rakkha hai kya kuchh
fasil-e-shahr bhi aKHbar si hai
nazar aaya hai phir 'mahtab' koi
tabiat phir junun-asar si hai
Ghazal
Shafaq bhi KHun ki bauchhaar si hai
Mahtab Alam