shadid habs mein rahat hawa se hoti hai
bahaal apni tabiat hawa se hoti hai
koi charag jalata nahin saliqe se
magar sabhi ko shikayat hawa se hoti hai
lachak ke TuT na jae kahin ye shaKH-e-badan
chale jo tez to wahshat hawa se hoti hai
kahin dhuwen ke siwa kuchh nazar nahin aata
kabhi kabhi wo shararat hawa se hoti hai
hawa se kah do ki kuchh der ko Thahar jae
KHajil hamari ibarat hawa se hoti hai
azal se us ki tabiat mein sar-kashi hai 'talab'
kahan kisi ki itaat hawa se hoti hai
Ghazal
Shadid habs mein rahat hawa se hoti hai
Khurshid Talab