اردو हिंदी
Shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao | Shaahi Shayari
shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao

Ghazal

Shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao

Ali Sardar Jafri

;

shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao
nigar-e-shams urus-e-qamar ki KHair manao

sipah-e-dushman-e-insaniyat qarib aai
dayar-e-husn sar-e-rahguzar ki KHair manao

abhi to auron ke diwar-o-dar pe yurish thi
ab apne saya-e-diwar-o-dar ki KHair manao

chali hai aatish-o-ahan ke dil se baad-e-sumum
chaman ke jalwa-e-gul-ha-e-tar ki KHair manao

guzar na jae kahin bahr-o-bar se KHun ki dhaar
farogh-e-shabnam-o-ab-o-guhar ki KHair manao

ye nafa-KHoron ki danish-farosh duniya hai
mata-e-ilm ki jins-e-hunar ki KHair manao

mere liye hai meri muflisi-o-napaki
tum apni paki-e-qalb-o-nazar ki KHair manao