shabnam ne kab is baat se inkar kiya hai
kirnon ne sada us se bahut pyar kiya hai
shaKHon pe ab ilzam koi baad-e-saba kyun
tu ne hi to har shaKH ko talwar kiya hai
kis kis pe kiye lutf-o-karam shahr-e-tarab ne
hum par bhi koi saya-e-diwar kiya hai
kuchh saKHti-e-imroz to kuchh ye bhi ki yaro
qarz-e-gham-e-farda ne giran-bar kiya hai
jang apne muqaddar se KHaridi hai ki hum ne
ek shaKHs hai dil de ki jise yar kiya hai
ek lamhe ke ehsas ne tanha-safari mein
barson ke liye waqt se hushiyar kiya hai
hoga koi bhed is mein ki nam apna hamin ne
bad-nam sar-e-kucha-o-bazar kiya hai
jis dasht se lae the wahin le chalo yaro
kyun aaise KHarabe mein hamein KHar kiya hai
KHush hote hain sheron se samajhte hain kahan log
shaer ne kisi dard ka izhaar kiya hai
Ghazal
Shabnam ne kab is baat se inkar kiya hai
Mahshar Badayuni