اردو हिंदी
Shabnam ki tarah subh ki aankhon mein paDa hai | Shaahi Shayari
shabnam ki tarah subh ki aankhon mein paDa hai

Ghazal

Shabnam ki tarah subh ki aankhon mein paDa hai

Afroz Alam

;

shabnam ki tarah subh ki aankhon mein paDa hai
haalat ka mara hai panahon mein paDa hai

tha zindagi ke saz pe chheDa hua naghma
be-rabt jo TuTe hue sazon mein paDa hai

suraj ki shuaon se ulajhta hai musalsal
saya hai abhi waqt ki bahon mein paDa hai

tariKH bataegi wo qatra hai ki dariya
aansu hai abhi waqt ke qadmon mein paDa hai

is tarah wo rad karta hai 'alam' ke kahe ko
jaise koi bharpur gunahon mein paDa hai