shabnam hai ki dhoka hai ki jharna hai ki tum ho
dil-dasht mein ek pyas tamasha hai ki tum ho
ek lafz mein bhaTka hua shair hai ki main hun
ek ghaib se aaya hua misra hai ki tum ho
darwaza bhi jaise meri dhaDkan se juDa hai
dastak hi batati hai paraya hai ki tum ho
ek dhup se uljha hua saya hai ki main hun
ek sham ke hone ka bharosa hai ki tum ho
main hun bhi to lagta hai ki jaise main nahin hun
tum ho bhi nahin aur ye lagta hai ki tum ho
Ghazal
Shabnam hai ki dhoka hai ki jharna hai ki tum ho
Ahmad Salman