shabnam ba-gul-e-lala na KHali z-ada hai
dagh-e-dil-e-bedard nazar-gah-e-haya hai
dil KHun-shuda-e-kashmakash-e-hasrat-e-didar
aaina ba-dast-e-but-e-bad-mast hina hai
shole se na hoti hawas-e-shola ne jo ki
ji kis qadar afsurdagi-e-dil pe jala hai
timsal mein teri hai wo shoKHi ki ba-sad-zauq
aaina ba-andaz-e-gul aaghosh-kusha hai
qumri kaf-e-KHakistar o bulbul qafas-e-rang
ai nala nishan-e-jigar-e-soKHta kya hai
KHu ne teri afsurda kiya wahshat-e-dil ko
mashuqi o be-hauslagi tarfa bala hai
majburi o dawa-e-giraftari-e-ulfat
dast-e-tah-e-sang-amda paiman-e-wafa hai
malum hua haal-e-shahidan-e-guzashta
tegh-e-sitam aaina-e-taswir-numa hai
ai partaw-e-KHurshid-e-jahan-tab idhar bhi
sae ki tarah hum pe ajab waqt paDa hai
na-karda gunahon ki bhi hasrat ki mile dad
ya rab agar in karda gunahon ki saza hai
beganagi-e-KHalq se be-dil na ho 'ghaalib'
koi nahin tera to meri jaan KHuda hai
Ghazal
Shabnam ba-gul-e-lala na Khaali z-ada hai
Mirza Ghalib