shabih-e-ruh kuchh aise nikhaar di gai hai
ana faqiron ke kase pe war di gai hai
tumhaare dil pe bhi kuchh to asar hua hoga
gire-paDe hue lafzon ko dhaar di gai hai
hamari aankh ke aansu subut hain is ka
hansi hamare labon ko udhaar di gai hai
mere badan ke qafas aasman se phir is bar
zawal-e-subh ki surKHi guzar di gai hai
buland-qamati chubhne lagi thi duniya ko
so mere kandhon se gardan utar di gai hai
numu ke aaKHiri imkan DhunDhne ke liye
mujhe zamin bhi KHalaon ke par di gai hai
tawil hijr ki muddat bhi hum faqiron ko
KHulus-e-dil se ba-sad iKHtisar di gai hai
hamari ruh to kachche makan mein KHush thi
to kyun badan ko hayat-e-mazar di gai hai
Ghazal
Shabih-e-ruh kuchh aise nikhaar di gai hai
Sanjay Mishra Shauq