shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai
sawad-e-shams-o-qamar bhi bashar ki manzil hai
abhi to parwarish-e-baal-o-par ki manzil hai
ye mai-kada hai kalisa o KHanqah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
hamein to ras hi aai fughan ki be-asari
magar batao to koi asar ki manzil hai
wo rahbari-e-janab-e-KHizar ki manzil thi
ye rahnumai-e-fikr-e-bashar ki manzil hai
ye raaz pa na sake sahiban-e-hosh-o-KHirad
junun bhi ek nigah-e-parda-dar ki manzil hai
qayam shamil-e-mashq-e-KHiram hai 'taban'
safar ka tark bhi goya safar ki manzil hai
Ghazal
Shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
Taban Ghulam Rabbani