shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui
jo umr sarf-e-tamasha-e-husn-e-yar hui
hisab-e-hasrat-e-jurm-e-nazara dil se puchh
nazar to ek jhalak ki gunah-gar hui
bisat-e-ajz mein ek aah thi mata-e-hayat
so wo bhi sarf-e-sitam-ha-e-rozgar hui
ba-qadr-e-hasti-e-dil hai KHumar-e-gham badnam
KHizan KHarab ba-andaza-e-bahaar hui
nahin ki aah mein tasir hi nahin lekin
ye dil-figar kabhi aasman-figar hui
karam hai raaz ummid-e-karam ki hasti ka
ummid tere karam ki ummid-war hui
bala se hijr mein jine ki intiha to hai
wo ek bar hui ya hazar bar hui
azal mein KHalq hui thi jo bijliyon ki ruh
teri nigah meri jaan be-qarar hui
mere wajud ki hujjat mere adam ki dalil
wo ek nazar thi jo shayad jigar ke par hui
bahaar nazr-e-taghaful hui KHizan Thahri
KHizan shahid-e-tabassum hui bahaar hui
ummid-e-marg pe 'fani' nisar kya kije
wo zindagi ki hui bhi to mustaar hui
Ghazal
Shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui
Fani Badayuni