اردو हिंदी
Shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae | Shaahi Shayari
shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae

Ghazal

Shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae

Momin Khan Momin

;

shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae
khoe gae hum aise ki aghyar pa gae

puchha kisi pe marte ho aur dam nikal gaya
hum jaan se inan-ba-inan sada gae

phaili wo bu jo hum mein nihan misl-e-ghuncha thi
jhonke nasim ke ye naya gul khila gae

ai aab-e-ashk aatish-e-unsur hi dekhna
ji hi gaya agar nafas-e-shola-za gae

majlis mein us ne pan diya apne hath se
aghyar sabz-baKHt the hum zahr kha gae

uTTha na zof se gul-e-dagh-e-junun ka bojh
qarun ki tarah hum bhi zamin mein sama gae

ghairon se ho wo parda-nashin kyun na be-hijab
dam-ha-e-be-asar mere parda uTha gae

thi bad-gumani ab unhen kya ishq-e-hur ki
jo aa ke marte dam mujhe surat dikha gae

tabinda o jawan to baKHt-e-raqib the
hum tira-roz kyun gham-e-hijran ko bha gae

be-zar zindagani ka jina muhaal tha
wo bhi hamari lash ko Thokar laga gae

waiz ke zikr-e-mehr-e-qayamat ko kya kahun
aalam shab-e-visal ke aankhon mein chha gae

jis waqt us dayar se aghyar-e-bul-hawas
bad-KHuiyon se yar ke ho kar KHafa gae

duniya hi se gaya main junhi naz se kaha
ab bhi guman-e-bad na gae tere ya gae

ai 'momin' aap kab se hue banda-e-butan
bare hamare din mein hazrat bhi aa gae