اردو हिंदी
Main agar surat-e-parwana fida ho jata | Shaahi Shayari
main agar surat-e-parwana fida ho jata

Ghazal

Main agar surat-e-parwana fida ho jata

Aziz Warsi

;

main agar surat-e-parwana fida ho jata
un ko andaza-e-ain-e-wafa ho jata

apni qudrat se liya kaam ilahi tu ne
warna is daur ka har shaKHs KHuda ho jata

hum ne taqdir ke mafhum ko samjha warna
hum ko bhi shikwa-e-arbab-e-jafa ho jata

tum agar dekhne wale ko nazar aa jate
hashr se pahle hi ek hashr bapa ho jata

apne gulshan ko wo dozaKH na samajhta shayad
yak gosha bhi jo firdaus-numa ho jata

tu ne pahchan liya ishq ki qadron ka mizaj
ye na puchh aaj teri bazm mein kya ho jata

apni ghairat se bachae raha apne ko 'aziz'
warna ahbab ke hathon hi fana ho jata