shab shauq le gaya tha hamein us ke ghar talak
par ghash sa aa gaya wohin pahunche jo dar talak
gar hum ko lag gai hain kabhi hichkiyan to hum
aaTh aaTh aansu roe hain do do pahar talak
Darta hun main ye gum na kare aap ko kahin
phir jad ko hui hai rasai kamar talak
parwana kya uDe hai charaghan mein to nahin
pahuncha jo koi shoala tere baal-o-par talak
sahra-e-kushtagan mein tere kal gaya tha main
dekhun to lala-zar hai hadd-e-nazar talak
phailaw bahr-e-ashk ka apne main kya kahun
pahunchi hai mauj gar ye meri bahr-o-bar talak
we din kidhar gae ki main likh likh ke KHat-e-shauq
jata tha aap girya-kunan nama-bar talak
shab us ki bazm mein jo gae hum to 'mushafi'
aise jame ki wan se na uTThe sahar talak
Ghazal
Shab shauq le gaya tha hamein uske ghar talak
Mushafi Ghulam Hamdani