shab-o-roz raqs-e-visal tha so nahin raha
kabhi tujh ko mera KHayal tha so nahin raha
wo jo be-qarari-e-jaan-o-dil thi nahin rahi
wo jo hijr tera muhaal tha so nahin raha
kabhi aankh mein jo murawwaten thin fana huin
pas-e-chashm ashk-e-malal tha so nahin raha
ye to e'tiraf-e-shikast hai ki mazid ab
koi mahram-e-mah-o-sal tha so nahin raha
wo ki chand jis pe kabhi ghurub nahin hua
yahan ek wo shahr-e-jamal tha so nahin raha
mujhe aisa lagta hai jaise aankh se KHwab ka
wo jo rabta sa bahaal tha so nahin raha
mujhe qatl kar ke moamla nahin hoga KHatm
ki jo qatl pahle kamal tha so nahin raha
mera e'tibar adam wajud se uTh gaya
wo jo zindagi ki misal tha so nahin raha
shab-e-mahtab mein raat ghaTne ke sath sath
jo samundaron mein ubaal tha so nahin raha
hai ajab mashaqqat-e-wasl jis ki thakan se qabl
ye badan thakan se niDhaal tha so nahin raha
Ghazal
Shab-o-roz raqs-e-visal tha so nahin raha
Rehana Roohi