shab o roz jaise Thahar gae koi naz hai na niyaz hai
tere hijr mein ye pata chala meri umr kitni daraaz hai
ye jahan hai mahbas-e-be-aman koi sans le to bhala kahan
tera husn aa gaya darmiyan yahi zindagi ka jawaz hai
ho badan ke loch ka kya bayan kisi nai ki mauj hai par-fishan
koi lai hai zer-e-qaba nihan koi shai ba-surat-e-raaz hai
tere gham se dil phir amir ho koi chand nikle safir ho
shab-e-dasht-e-hu hai ye zindagi na nasheb hai na faraaz hai
chale tair uD ke pas-e-shafaq hai udas udas ruKH-e-ufuq
ki bayaz-e-sham ka har waraq teri dastan-e-daraaz hai
agar ehtiyat-e-KHitab ho lab-e-sang khil ke gulab ho
tu kisi sanam ko sada to de dar-e-but-kada abhi baz hai
wahi rup saghar-e-jam mein bhi wahi aks dida-e-nam mein bhi
mere waste to haram mein bhi wahi 'shaz' ru-e-majaz hai
Ghazal
Shab o roz jaise Thahar gae koi naz hai na niyaz hai
Shaz Tamkanat