shab na ye sardi se yaKH-basta zamin har tarf hai
mah pukare hai falak-parwardagi to barf hai
shah-e-gul ka hukm sayyaron ke ye hai bagh mein
jo na pi kar aae mai naukar nahin bartarf hai
surKH hai rumal-e-shaali us ke tahatul-jang tak
mushaf ruKHsar par ya jadwal-e-shangarf hai
nau-KHaton ke dil mein juz mashq-e-sitam tarz-e-wafa
yaksar-e-mu ho sake kursi-nashin kya harf hai
dars-e-ilm-e-ishq se waqif nahin mutlaq faqih
nahw hi mein mahw hai ya sarf hi mein sarf hai
mu se hai barik sher-o-shaeri ke darmiyan
mani-e-misra-e-qamat kya qayamat zarf hai
zahid-e-KHushk-o-KHunuk se kab ho sohbat un ki garm
aatish-e-tar se 'muhib' jin ka labaalab zarf hai

Ghazal
Shab na ye sardi se yaKH-basta zamin har tarf hai
Waliullah Muhib