shab mein wan jaun to jaun kis tarah
baKHt-e-KHufta ko jagaun kis tarah
qissa-KHwan baiThe hain ghere us ke tain
dastan apni sunaun kis tarah
go main aashiq hun pa taqat hai meri
hath panw ko lagaun kis tarah
rakh diya hai sar pe ek koh-e-KHayal
sar ko zanu se uThaun kis tarah
nala girya ki madad karta nahin
ashk ke nale bahaun kis tarah
chah wo shai hai ki chhupti hi nahin
us ko ya-rab main chhupaun kis tarah
aa bani hai 'mushafi' ki jaan par
ya-rab apna ji bachaun kis tarah
Ghazal
Shab mein wan jaun to jaun kis tarah
Mushafi Ghulam Hamdani