shab kuchh aise chali pawan KHali
kar gai ruh se badan KHali
laDkiyan ganw se sidhaar gain
hirniyon se hue KHutan KHali
KHak mein mil gae hain sher jawan
maut se bhar gae hain ran KHali
saneha is se baDh ke kya hoga
yar baiThe hain anjuman KHali
hum agar hain to kyun rahen hum se
ye zamin aur ye zaman KHali
ab wo mah-e-munir hai 'nasir'
thi jo pahle-pahal kiran KHali
Ghazal
Shab kuchh aise chali pawan Khaali
Nasir Baluch