اردو हिंदी
Shab ko phire wo rashk-e-mah KHana-ba-KHana ku-ba-ku | Shaahi Shayari
shab ko phire wo rashk-e-mah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

Ghazal

Shab ko phire wo rashk-e-mah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

Taban Abdul Hai

;

shab ko phire wo rashk-e-mah KHana-ba-KHana ku-ba-ku
din ko phirun main dad-KHwah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

qibla na sar-kashi karo husn pe apne is qadar
tum se bahut hain kaj-kulah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

KHana-KHarab-e-ishq ne kho ke meri haya-o-sharm
mujh ko kiya zalil aah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

tu ne jo kuchh ki ki jafa ta-dam-e-qatl main sahi
meri wafa ke hain gawah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

teri kamand-e-zulf ke mulk-ba-mulk hain asir
bismil-e-KHanjar-nigah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

kal tu ne kis ka KHun kiya mujh ko bata ki aaj hai
shor o fughan o aah aah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

mujh ko bula ke qatl kar ya to mere gunah baKHsh
hun main kahan talak tabah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

sina-figar o jama-chaak girya-kunan o nara-zan
phirte hain tere dad-KHwah KHana-ba-KHana ku-ba-ku

'taban' tere firaq mein sar ko paTakta raat din
phirta hai misl-e-mahr-o-mah KHana-ba-KHana ku-ba-ku