shab ko pazeb ki jhankar si aa jati hai
bich mein phir koi diwar si aa jati hai
in ka andaz-e-nazar dekh ke mahfil mein kabhi
mujh mein bhi jurat-e-izhaar si aa jati hai
is ada se kabhi chalti hai nasim-e-sahari
KHushk patton mein bhi raftar si aa jati hai
hum to us waqt samajhte hain ki aati hai bahaar
dasht se jab koi jhankar si aa jati hai
Ghazal
Shab ko pazeb ki jhankar si aa jati hai
Afsar Mahpuri