اردو हिंदी
Shab ko jab yurish-e-wijdan mein aa jate hain | Shaahi Shayari
shab ko jab yurish-e-wijdan mein aa jate hain

Ghazal

Shab ko jab yurish-e-wijdan mein aa jate hain

Amir Nazar

;

shab ko jab yurish-e-wijdan mein aa jate hain
tirgi hum tere aiwan mein aa jate hain

jab nazar uThti hai aawaz ke minaron par
zawiye dida-e-hairan mein aa jate hain

kuchh hawaen bhi uDa lain nishan-e-nisyan
kuchh sitare mere daman mein aa jate hain

tazkira hone laga zabt ki mehrabon pur
shor-e-talKHwish mere kan mein aa jate hain

aaine manzar-e-shab-tab liye phirte hain
zalzale chashm-e-bayaban mein aa jate hain

baDh ke ab dastak-e-awaz lagao 'amir'
dar dariche had-e-imkan mein aa jate hain