shab ki tariki baDhti hi jae
kaun aata hai zulf bikhrae
jhilmilae sitaron ke jhurmuT
kis ki palkon pe ashk tharrae
us ki jo baat hai nirali hai
dil-e-nadan ko kaun samjhae
un ko bhule zamana hota hai
ashk aaankhon mein phir bhi bhar aae
dam-ba-KHud sari kaenat hui
hum ne wo git pyar ke gae

Ghazal
Shab ki tariki baDhti hi jae
Deed Rahi