اردو हिंदी
Shab ki shab mahfil mein koi KHush-kalam aaya to kya | Shaahi Shayari
shab ki shab mahfil mein koi KHush-kalam aaya to kya

Ghazal

Shab ki shab mahfil mein koi KHush-kalam aaya to kya

Hasan Abbas Raza

;

shab ki shab mahfil mein koi KHush-kalam aaya to kya
tyag di jo bazm us mein mera nam aaya to kya

zinat-e-qirtas jitne harf the dushman hue
ek tera ism zer-e-insiram aaya to kya

nargha-e-ada mein ghirte hi badan ghirban tha
ab safa-e-yaran se koi be-niyam aaya to kya

kushtagan-e-shab ko pursa dene wale ye bhi sun
ab tere lahje mein rang-e-ehtaram aaya to kya

muntazir aankhen firaq-e-yar mein pathra gain
subh ka bhula palaT kar ghar jo sham aaya to kya

dasht-e-KHwahish mein ba-kar-e-said jab muddat ke baad
ek ghazal-e-pa-burida zer-e-dam aaya to kya