اردو हिंदी
Shab ki wo majlis-faroz-e-KHalwat-e-namus tha | Shaahi Shayari
shab ki wo majlis-faroz-e-KHalwat-e-namus tha

Ghazal

Shab ki wo majlis-faroz-e-KHalwat-e-namus tha

Mirza Ghalib

;

shab ki wo majlis-faroz-e-KHalwat-e-namus tha
rishta-e-har-shama KHar-e-kiswat-e-fanus tha

mashhad-e-ashiq se koson tak jo ugti hai hina
kis qadar ya-rab halak-e-hasrat-e-pa-bos tha

hasil-e-ulfat na dekha juz-shikast-e-arzu
dil-ba-dil paiwasta goya yak lab-e-afsos tha

kya kahun bimari-e-gham ki faraghat ka bayan
jo ki khaya KHun-e-dil be-minnat-e-kaimus tha