shab-KHun ka KHatra hai abhi jagte rahna
qatil pas-e-parda hai abhi jagte rahna
hain qaid tere baKHt ke suraj ki shuaen
ye subh ka dhoka hai abhi jagte rahna
laDna hai tujhe shab ke andheron se musafir
suraj kahan nikla hai abhi jagte rahna
phir aane lagi nind mere ham-safaron ko
apna to irada hai abhi jagte rahna
hai manzil-e-tamir mein tabir ka suraj
ye KHwab adhura hai abhi jagte rahna
ninden to ye kahti hain chalo chain se soen
dil sine mein kahta hai abhi jagte rahna
ye kah ke mujhe 'raaz' wo sone nahin deta
har gam pe KHatra hai abhi jagte rahna

Ghazal
Shab-KHun ka KHatra hai abhi jagte rahna
Raaz Allahabadi