shab KHumar-e-shauq-e-saqi rustaKHez-andaza tha
ta-muhit-e-baada surat KHana-e-KHamyaza tha
yak qadam wahshat se dars-e-daftar-e-imkan khula
jada ajza-e-do-alam dasht ka shiraaza tha
mana-e-wahshat-KHirami-ha-e-laila kaun hai
KHana-e-majnun-e-sahra-gard be-darwaza tha
puchh mat ruswai-e-andaz-e-istighna-e-husn
dast marhun-e-hina ruKHsar rahn-e-ghaza tha
nala-e-dil ne diye auraq-e-laKHt-e-dil ba-baad
yaad-gar-e-nala ek diwan-e-be-shiraaza tha
hun charaghan-e-hawas jun kaghaz-e-atish-zada
dagh garm-e-koshish-e-ijad-e-dagh-e-taza tha
be-nawai tar sada-e-naghma-e-shohrat 'asad'
boriya yak nistan-alam buland aawaza tha
Ghazal
Shab KHumar-e-shauq-e-saqi rustaKHez-andaza tha
Mirza Ghalib