shab ke pur-haul manazir se bacha le mujh ko 
main teri nind hun aankhon mein chhupa le mujh ko 
main teri rah-e-mashiat ka hun zarra lekin 
DhunDhne wala sitaron mein khangale mujh ko 
KHauf aankhon mein meri dekh ke chingari ka 
kar diya raat ne suraj ke hawale mujh ko 
main musawwir hun bure waqt ki taswiron ka 
ras aate hain ye diwar ke jale mujh ko 
umr bhar jis ke liye peT se bandhe patthar 
ab wo gin gin ke khilata hai niwale mujh ko 
beDiyan Dal ke parchhain ki pairon mein mere 
qaid rakhte hain andheron mein ujale mujh ko 
tere hathon ka tarasha hua patthar hun 'salim' 
aaina ho gae sab dekhne wale mujh ko
        Ghazal
Shab ke pur-haul manazir se bacha le mujhko
Saleem Siddiqui

