shab ke KHilaf barsar-e-paikar kab hue
hum log raushni ke talabgar kab hue
KHushbu ki ghat mein hain shikari hawaon ke
jhonke magar kisi se giraftar kab hue
tabir ki ruton ne badan zard kar diye
phir bhi ye log KHwab se bedar kab hue
tale laga liye hain KHud apni zaban par
kya baat hai tum itne samajhdar kab hue
ye ahd apni ruh mein ahd-e-firaq hai
hum matla-e-suKHan pe numudar kab hue
KHilat wasul karte hue sar uTha liya
ruswa 'najib' hum sar-e-darbar kab hue

Ghazal
Shab ke KHilaf barsar-e-paikar kab hue
Najeeb Ahmad