اردو हिंदी
Shab ke hathon gira aur kahin rah gaya | Shaahi Shayari
shab ke hathon gira aur kahin rah gaya

Ghazal

Shab ke hathon gira aur kahin rah gaya

Khalid Mahmood Zaki

;

shab ke hathon gira aur kahin rah gaya
chand phir be-falak be-zamin rah gaya

chalte rahte to milne ka imkan tha
jo jahan ruk gaya wo wahin rah gaya

KHud ko khoe hue kya kise DhunDte
tum kahin rah gae main kahin rah gaya

kaun rakkhe hisab-e-shab-o-roz jab
shab kahin rah gai din kahin rah gaya

kho gaya jo bhi zad-e-safar pas tha
KHwab oDhe hue ek yaqin rah gaya

tum mile hi kahan milne jaise mujhe
main jahan tha wahin ka wahin rah gaya

sab guzarta gaya sab guzarne diya
phir bhi kya kya na dal ke qarin rah gaya

main uThae hue ye badan chal paDa
dil bhi raazi tha phir bhi wahin rah gaya

baad muddat ke ab sochna bhi hai kya
pas kya rah gaya kya nahin rah gaya