اردو हिंदी
Shab jo ruKH-e-pur-Khaal se wo burqe ko utare sote hain | Shaahi Shayari
shab jo ruKH-e-pur-Khaal se wo burqe ko utare sote hain

Ghazal

Shab jo ruKH-e-pur-Khaal se wo burqe ko utare sote hain

Shah Naseer

;

shab jo ruKH-e-pur-KHal se wo burqe ko utare sote hain
chashm-e-qamar lagti hi nahin kya balki na tare sote hain

band kiye aankhen wo apni nashshe ke mare sote hain
waqt yahi hai ghat ka ai dil dekh chikare sote hain

hijr mein tere shams o qamar ki aankh lage kya lail-o-nahaar
charKH ke kab gahware mein ye ishq ke mare sote hain

aaya tha wo mah-jabin iqrar pe aadhi raat ko aah
yaro kyunkar jagte rahiye baKHt hamare sote hain

fursat pa kar hath lagaya panw ko un ke jab main ne
kahne lage chal dur sarak mat hath laga re sote hain

bistar-e-gul ki baalish-e-par ki un ko nahin kuchh hajat hai
sar ko tere zanu par rakh jo shab ko pyare sote hain

kya jaane is KHwab-e-adam mein lazzat hai jo ahl-e-qubur
apne apne ghar mein han yun panw pasare sote hain

ek muddat mein phirte phirte munh se suni darban ke ye baat
shukr KHuda ka apne wo ghar mein aaj to pyare sote hain

chori se hum shab ko pahunche panw talak jun duzd-e-hina
lekin chaukidar kai nazdik tumhaare sote hain

us ke qarib-e-chashm kahan hai KHal dila Tuk ghaur se dekh
kaifiyyat se mast paDe dariya ke kinare sote hain

wo to kabhi bedari mein juz-KHwab nahin milte yaro
koi hamein hargiz na uThana hijr ke mare sote hain

mang mein teri kyun na karen ushshaq ke dil aaram bhala
hain ye musafir raste mein manzil ke mare sote hain

chashm-e-mulaqat un se rakhiye tu hi bata kis wajh 'nasir'
ghair ki jaanib abru se wo kar ke ishaare sote hain