shab-hae-aish ka wo zamana kidhar gaya
wo KHwab kya hua wo fasana kidhar gaya
wo gul-ruKHon se hansna-hansana kidhar gaya
un ko sata sata ke rulana kidhar gaya
shab bhar ki mai-kashi ka maze-dar wo KHumar
aur subh ka wo waqt suhana kidhar gaya
bachpan ke khel-kud jawani ke zauq-o-shauq
wo KHwab kya hua wo fasana kidhar gaya
har roz roz-e-id tha har shab shab-e-baraat
wo din kahan gae wo zamana kidhar gaya
teri nigah ka na mere dil ka hai pata
wo tir kya hua wo nishana kidhar gaya
pahle to kuchh bhi qadr na jaani shabab ki
ab ro rahe hain hum wo zamana kidhar gaya
jo paikar-e-wafa the sarapa-KHulus the
wo log kya hue wo zamana kidhar gaya
mayyat pe meri aa ke wo ye puchhte hain 'shauq'
kyun aaj dard-e-dil ka fasana kidhar gaya
Ghazal
Shab-hae-aish ka wo zamana kidhar gaya
Shauq Dehlvi Makki