shab-gazida ke ghar nahin aati
KHwab mein bhi sahar nahin aati
kya sunen des ki sunaen kya
koi achchhi KHabar nahin aati
aaina dusron ki jaanib hai
apni surat nazar nahin aati
aap munh mein zaban rakhte hain
baat karni magar nahin aati
dars dete hain wo mohabbat ka
jin ko zer-o-zabar nahin aati
meri qismat hai ya pachhal-piri
lauT jati hai ghar nahin aati
bin tere kuchh nazar nahin aata
tujh ko 'atiya' nazar nahin aati
Ghazal
Shab-gazida ke ghar nahin aati
Ateeya Niyazi