shab-e-visal tulua aaftab kaise hua
zamin pe itna baDa inqalab kaise hua
sitara mu-e-badan ruKH gulab kaise hua
tumhaara jism hawas ki kitab kaise hua
labon se kaam burish ka liya gaya hoga
ki ang ang tera mehr-tab kaise hua
zarur laDkiyan pani mein tairti hongi
nahin to sara samundar sharab kaise hua
kahan se aa gae KHushiyon ke bawre panchhi
ki mujh pe band har ek gham ka bab kaise hua
ye kis ne chhin li binai aasmanon se
zamin ke jism pe nazil azab kaise hua
kisi ne yaad ke kankar zarur phenke hain
KHamosh jhil mein ye iztirab kaise hua
use samajhne ko ek umr chahiye jaanan
'munir' asl mein tera KHarab kaise hua
Ghazal
Shab-e-visal tulua aaftab kaise hua
Muneer Saifi

