اردو हिंदी
Shab-e-visal thi raushan faza mein baiTha tha | Shaahi Shayari
shab-e-visal thi raushan faza mein baiTha tha

Ghazal

Shab-e-visal thi raushan faza mein baiTha tha

Shabab Lalit

;

shab-e-visal thi raushan faza mein baiTha tha
main tere saya-e-lutf-o-ata mein baiTha tha

tamam umr use DhunDne mein sarf hui
jo chhup ke mere badan ki gupha mein baiTha tha

nai ruton ki hawa le uDi libas us ka
wo kal talak to harim-e-haya mein baiTha tha

darun-e-qafila aasar the baghawat ke
ajab sa KHauf dil-e-rahnuma mein baiTha tha

zara si baat ne auqat khol di us ki
wo kab se band hisar-e-ana mein baiTha tha

nazar uTha ke tum ai kash dekh hi lete
main nazr-e-jaan liye rah-e-wafa mein baiTha tha

lahu se us ke mili din ko baqa-e-dawam
wo qafila jo kabhi karbala mein baiTha tha

usi ne luTi thi abla ki aabru kal raat
sawere ban ke jo mukhiya sabha mein baiTha tha

bas ek shikast ne sare nashe utar diye
wo tajdar alag si hawa mein baiTha tha

chalain goliyan jis par munafiqon ne 'shabab'
saf-e-namaz mein yaad-e-KHuda mein baiTha tha