shab-e-visal mein duri ka KHwab kyun aaya
kamal-e-fath mein ye Dar ka bab kyun aaya
dilon mein ab ke baras itne wahm kyun jage
bilad-e-sabr mein ab iztirab kyun aaya
hai aag gul pe ajab is bahaar-e-guzran mein
chaman mein ab ke gul-e-be-hisab kyun aaya
agar wahi tha to ruKH pe wo be-ruKHi kya thi
zara se hijr mein ye inqalab kyun aaya
bas ek hoga tamasha tamam samton par
meri sada ke safar mein sarab kyun aaya
main KHush nahin hun bahut dur us se hone par
jo main nahin tha to us par shabab kyun aaya
uDa hai shola-e-barq abr ki fasilon par
ye is bala ke muqabil sahab kyun aaya
yaqin kis liye us par se uTh gaya hai 'munir'
tumhaare sar pe ye shak ka azab kyun aaya
Ghazal
Shab-e-visal mein duri ka KHwab kyun aaya
Muneer Niyazi