shab-e-visal maza de rahi hai 'tu' teri
labon se gholti hai qand guftugu teri
teri zaban ko bigaDa raqib-e-bad-KHu ne
ki baat baat mein gali to thi na KHu teri
laga raha hai hina kaun tere hathon mein
rula rahi hai mujhe KHun aarzu teri
tere sukut mein bhi ek ada nikalti hai
ki hai chhupi hui parde mein guftugu teri
na chaak kar dil-e-be-tab ko mere zalim
nikal ke ho kahin ruswa na aarzu teri
kabhi hai qasd haram ka kabhi hai azm-e-kunisht
kashan kashan liye phirti hai aarzu teri
Ghazal
Shab-e-visal maza de rahi hai tu teri
Suroor Jahanabadi