shab-e-wasl thi chandni ka saman tha
baghal mein sanam tha KHuda mehrban tha
mubarak shab-e-qadr se bhi wo shab thi
sahar tak mah o mushtari ka qiran tha
wo shab thi ki thi raushni jis mein din ki
zamin par se ek nur ta aasman tha
nikale the do chand us ne muqabil
wo shab subh-e-jannat ka jis par guman tha
urusi ki shab ki halawat thi hasil
farh-nak thi ruh dil shadman tha
mushahid jamal-e-pari ki thi aankhen
makan-e-visal ek tilismi makan tha
huzuri nigahon ko didar se thi
khula tha wo parda ki jo darmiyan tha
kiya tha use bosa-bazi ne paida
kamar ki tarah se jo ghaeb dahan tha
haqiqat dikhata tha ishq-e-majazi
nihan jis ko samjhe hue the ayan tha
bayan KHwab ki tarah jo kar raha hai
ye qissa hai jab ka ki 'atish' jawan tha
Ghazal
Shab-e-wasl thi chandni ka saman tha
Haidar Ali Aatish