shab-e-wasl kya muKHtasar ho gai 
zara aankh jhapki sahar ho gai 
nigahon ne sab raaz-e-dil kah diya 
unhen aaj apni KHabar ho gai 
baDi chiz hai tarz-e-beganagi 
ye tarkib agar kargar ho gai 
ilahi bura ho gham-e-ishq ka 
suna hai ki un ko KHabar ho gai 
kiye mujh pe ehsan gham-e-yar ne 
hamesha ko nichi nazar ho gai 
numayan hui subh-e-piri 'jigar' 
bas ab dastan muKHtasar ho gai
 
        Ghazal
Shab-e-wasl kya muKHtasar ho gai
Jigar Moradabadi

