اردو हिंदी
Shab-e-wada hai tu hai aur main hun | Shaahi Shayari
shab-e-wada hai tu hai aur main hun

Ghazal

Shab-e-wada hai tu hai aur main hun

Jalal Lakhnavi

;

shab-e-wada hai tu hai aur main hun
hujum-e-arzu hai aur main hun

dil-e-begana-KHu hai aur main hun
baghal mein ek adu hai aur main hun

miTata hi raha jis ko muqaddar
wo meri aarzu hai aur main hun

pareshan-KHatiri kahti hai apni
kisi ki justuju hai aur main hun

shab-e-tanhai-e-furqat mein dil se
kuchh us ki guftugu hai aur main hun

gulistan-e-jahan hai qabil-e-sair
tilism-e-rang-o-bu hai aur main hun

nigah-e-lutf-e-dilbar ka hai izhaar
phaTe dil ka rafu hai aur main hun

kahin chhoDa agar qatil ka daman
tu phir mera lahu hai aur main hun

'jalal' us ko banaya us ne dushman
qayamat mein adu hai aur main hun