shab-e-tarik chup thi dar-o-diwar chup the
numud-e-subh-e-nau ke sabhi aasar chup the
tamasha dekhte the hamare zabt-e-gham ka
musallat ek Dar tha lab-e-izhaar chup the
hawaen chiKHti thin fazaen gunjti thin
qabila baT raha tha magar sardar chup the
giraata kaun baDh kar bhala diwar-e-zulmat
ujalon ke payambar pas-e-diwar chup the
mata-e-abru ko bacha sakte the lekin
muhafiz sar-nigun the to pahre-dar chup the
nahin hai is se baDh kar koi tauhin fan ki
KHaride ja rahe the magar fankar chup the
zamana chahta tha kahani ka tasalsul
magar parde ke pichhe sabhi kirdar chup the

Ghazal
Shab-e-tarik chup thi dar-o-diwar chup the
Sarwar Arman