اردو हिंदी
Shab-e-surur nai dastan visal-o-firaq | Shaahi Shayari
shab-e-surur nai dastan visal-o-firaq

Ghazal

Shab-e-surur nai dastan visal-o-firaq

Sahba Waheed

;

shab-e-surur nai dastan visal-o-firaq
na fikr-e-sud-o-ziyan darmiyan visal-o-firaq

main us se baat karun bhi to kis hawale se
ki mustaar makan mein kahan visal-o-firaq

usi ke nam pe jite hain aur marte hain
yahi hai qissa-e-ashutagan visal-o-firaq

wo kah gaya hai ki aaunga muntazir rahiyo
main mubtala-e-yaqin-o-guman visal-o-firaq

wo paDh raha tha baDe ghaur se lahu ki sarisht
har ek bund ka sirr-e-nihan visal-o-firaq

hawa-e-subh na jaane kahan kahan le jae
shab-e-murad shab-e-darmiyan visal-o-firaq

main us ko hath lagata bhi kis tarah 'sahba'
ajib kashmakash-e-jaan azan visal-o-firaq