shab-e-siyah se jo istifada karte hain
wahi charaghon ka matam ziyaada karte hain
dilon ka dard kahan jam mein utarta hai
harif-e-waqt ko hum gharq-e-baada karte hain
purani talKHiyan daman bahut pakaDti hain
kabhi naya jo koi hum irada karte hain
paDi thi dil ki zamin jaane kab se be-masraf
ab us mein yaadon ke but istada karte hain
ajib daur hai ye jis mein sare danish-war
dilon ko tang makan ko kushada karte hain
ye aasman-e-watan kyun rida hamari hai
hum is zamin ko kaise labaada karte hain
Ghazal
Shab-e-siyah se jo istifada karte hain
Asad Badayuni