shab-e-hijran thi main tha aur tanhai ka aalam tha
gharaz us shab ajab hi be-sar-o-pai ka aalam tha
gareban ghuncha-e-gul ne kiya gulshan mein sau TukDe
ki har funduq par us ke turfa ranai ka aalam tha
nihaal-e-KHushk hun main ab to yaro kya hua yani
kabhi is bed-e-majnun par bhi shaidai ka aalam tha
likhe gar ja o beja sher main ne Dar nahin us ka
ki main yan tha safar mein mujh pe bejai ka aalam tha
hina bhi to laga dekhi pe wo aalam kahan hai ab
hamare KHun se jo hathon pe zebai ka aalam tha
chala jab shahr se majnun taraf sahra ki yun bola
nasib apne to is aalam mein ruswai ka aalam tha
ye aalam hum ne dekha 'mushafi' han apni aankhon se
ki banda ji se us mashuq harjai ka aalam tha
Ghazal
Shab-e-hijran thi main tha aur tanhai ka aalam tha
Mushafi Ghulam Hamdani