اردو हिंदी
Shab-e-hijr sahra-e-zulmat nikli | Shaahi Shayari
shab-e-hijr sahra-e-zulmat nikli

Ghazal

Shab-e-hijr sahra-e-zulmat nikli

Mushafi Ghulam Hamdani

;

shab-e-hijr sahra-e-zulmat nikli
main jab aankh kholi bahut raat nikli

mujhe galiyan de gaya wo sarihan
mere munh se hargiz na kuchh baat nikli

hua wadi-e-qatl sahra-e-mahshar
meri nash jab roz-e-miqat nikli

kami kar gaya naz-e-pinhan ka KHanjar
na jaan tere bismil ki haihat nikli

tu ai 'mushafi' ab to garm-e-suKHan ho
shab aain daraaz aur barsat nikli