shab-e-hijr mein yaad aana kisi ka
satae hue ko satana kisi ka
kabhi pyar ki baaten wo chupke chupke
kabhi naz se ruTh jaana kisi ka
wo bholi adaen na kyun yaad aaen
laDakpan mein tha kya zamana kisi ka
kabhi thi wo ghusse ki chitwan qayamat
kabhi aajizi se manana kisi ka
wo dil ban ke dam-e-mohabbat mein aaya
ki zulfon mein tha aashiyana kisi ka
nazar lag gai mere dushman ki mujh ko
qayamat hua ruTh jaana kisi ka
khilaega gul rang laega ai 'shad'
tujhe dekh kar muskurana kisi ka
Ghazal
Shab-e-hijr mein yaad aana kisi ka
Murli Dhar Shad